Lifafe Ka intzaar
use bhi intzaar tha aur
mujhe bhi
us din ka
jo aaj aa gaya
aur maine khol diya use
lifafa ko
padh daale ek hi nazar mein
usme likhe chaar panktiyaan
panktiyaan kya thi
sheetal paani si bahti
ek nadi thi
Jhankte hi jisme
dikh gayi puri pratibimb
aur bhaari ho gayi meri
palkein
jaise paas aake,
kaan mein kuch budbuda ke
gayab ho gayi thi wohi
pratibimb
Aur chalchitra ki tarah
daur gayi yaadein saari
Jaanta hoon,
door hai wo kitni
fir bhi har waqt uske
paas hone ka ehsaas kyon hai
jaanta hoon meri
mukaddar mein wo nahi
fir bhi har mod pe
uske aane ka intzaar kyon hai
Bangalore 01-aug-11
use bhi intzaar tha aur
mujhe bhi
us din ka
jo aaj aa gaya
aur maine khol diya use
lifafa ko
padh daale ek hi nazar mein
usme likhe chaar panktiyaan
panktiyaan kya thi
sheetal paani si bahti
ek nadi thi
Jhankte hi jisme
dikh gayi puri pratibimb
aur bhaari ho gayi meri
palkein
jaise paas aake,
kaan mein kuch budbuda ke
gayab ho gayi thi wohi
pratibimb
Aur chalchitra ki tarah
daur gayi yaadein saari
Jaanta hoon,
door hai wo kitni
fir bhi har waqt uske
paas hone ka ehsaas kyon hai
jaanta hoon meri
mukaddar mein wo nahi
fir bhi har mod pe
uske aane ka intzaar kyon hai
Prashant
Bangalore 01-aug-11
umeed pe duniya kayam hai, to intezaar to hoga hi....
Perhaps you are right Chintan ji. Ummeed hai sayad intzaar ka karan ..
Har pal unke bare me sochte hai,
kabhi khudko kabhi khudako koste hai,
jab unka bhi dil chahta hai hunse milna,
fir kyon wo apne kadmo ko rokte hai???
waah waah.. kya baat hai