Socha tha bhula diya,
har pannon ko dafna diya,
Parinda pinjre mein
Pankh fir bhi farfarata hai
pinjre se bahar dekh,
khud ke sapne sajata hai
Boondon ke pratibimb mein
uski chaya hi aati hai
khud ko jeevan ko samajhne mein
dimag ki nasein jhannati hai
Granthon kitabon mein dhoond kar
fir bhi wohi mil jaati hai,
likhte likhte yaadon ko
haath kahin tham jaati hai,
Patte fir bhi udd aate hain
Panne fir bhi khul jaate hain
parinda fir bhi farfarata hai
Apne sapne sajata hai
Jeevan chalti hi jaati hai,
parchayi peeche peeche aati hai
Fir bhi maine sula diya hai
Pannon ko dafna diya hai
har pannon ko dafna diya,
Parinda pinjre mein
Pankh fir bhi farfarata hai
pinjre se bahar dekh,
khud ke sapne sajata hai
Boondon ke pratibimb mein
uski chaya hi aati hai
khud ko jeevan ko samajhne mein
dimag ki nasein jhannati hai
Granthon kitabon mein dhoond kar
fir bhi wohi mil jaati hai,
likhte likhte yaadon ko
haath kahin tham jaati hai,
Patte fir bhi udd aate hain
Panne fir bhi khul jaate hain
parinda fir bhi farfarata hai
Apne sapne sajata hai
Jeevan chalti hi jaati hai,
parchayi peeche peeche aati hai
Fir bhi maine sula diya hai
Pannon ko dafna diya hai
Prashant
11/12/11
Bangalore
totally cool!!! especially the second last para...
Thanks for your appreciation. I am not sure if I know you..