Toote Pal (Loss Of Feeling)
Loss Of feeling (Sketch) 2-Jun-12 |
Uljhi rahi jo khwab sawalon mein kahin,
jalti rahi jindagi deti rahi roshni.
Halke hawa ke thapede ne saya hila diya,
waqt ne bhesh badal badal kar aisa gila kiya||
Gamon ke pighalti dhaara ko bhi sah liya,
roshni ko fir bhi bhujne na diya,
qaid rahi jo fir bhi aansuon ki wo ladi,
aaine mein bhi khud ka chehra na dhoond saki||
Toot gayi jo ek pal mein jeene ki wajah,
ruk na saki jo boonden to diya bhuja diya,
manzil bhi paas aake andhere mein kho gayi,
sannate mein goonj gayi har pal ki wo hansi,
dard jo jaagi seene mein aansu sukha gayi
khud ke mahal mein tadap hi rah gayi,
Uljhi rahi jo khwab sawalon mein kahin,
jalti rahi jindagi deti rahi roshni.
20-Jun-12
Bangalore
bahut sahi likha hai...
Thanks Anonymous .. :)
beautifully written Prashant...great work!!!
raste kathin the par manjil to pas tha
manjil to pas tha par manobal ka na saath tha
ulajh kar rah gaye wo,
jo hawa ke thaperon ko
toofan samajh liya ...
warna diya kyon bhujhta jab bati ka sath tha||
gud ..................
Lovely poem...
Thanks Stranger friend :)