Andhere mein tatolta hua sa
Kabhi koi sapna chubh sa jaata hai||
jindagi ki daur mein kabhi kahin
samay ruk sa jaata hai||
Tab sapno ki kavita ke saare
sabd door jaate dikhte hain|
aur sapno ke saye se hum
khud ko bachate chalte hain||
aise mein khud ko sapne ke
katghare mein jab paate hain|
Aur uske prashnon ka jawab
bhi chuppi hi ban jaata hai|
Kabhi kabhi apna hi koi
Sapna chubh sa jaata hai||
Kabhi kabhi apna hi koi
Sapna chubh sa jaata hai||
Prashant 2dec10
A thought well thought and well phrased !!!
Achhi kavita hai prashantji -LOKESH
nice poem ,kabhi koi sapna chubh sa jata hai koi koi neendo me hi hansa ke jata hai.... Saini Jai
sapnen chubhten nahin
sapna chubh jata hai
jo chubh jata hai
wahi to apna ho jata hai.
hi prashant i can't write poems but ur SAPNA poem is really heart touching
Sachin Salgar
ss2460773@gmail.com
hii prashnt sachmuch dil ko chhu jati hai kya bat hai sapna chubh jata hai