Majboori
------------------------------------------------------The train of life changes its track based on your decisions. Sometimes we have a choice, sometimes we don't have.
Jindagi ke aise pal mein se ek...
------------------------------------------------------
wo,
chali gayi,
dhoondti rahi khud ko,
meri jindagi mein,
sayad dhoond na saki,
hathon mein le kar haath
boli "ab ??"
main bola "majboori hai"
"Aajad kar do mujhe "
aawaj mein koi hichkichahat nahi,
har baar judai mein
aankho mein aansu dekha tha main
aaj kewal sunapan||
Main bola "aajad??kaise ??"
boli "meri madad karo
har wo chiz mita do
yaadein judi ho meri jisse
mita do sampark ke saare raaste"||
main socha kar paunga aisa ??
bola "khushi ke do pal na de paya
aur gam na doonga
aaj se mera waada
judai ka" ||
wo chali gayi,
door tak dekhta raha usko,
mudi ek baar
muskurayi
aur chali gayi
Jaldi nahi thi jaane ki
lekin
mere saamne aansu
chalakne nahi dena chahti thi,
jaanta hoon
royi hogi kahin baith kar||
aur main ??
majboor hoon
haan kavita jaroor likh sakta hoon
isme to koi majboori nahi||
It brought tears in my eyes. It's just like mine story...Keep it up man. It's very heart touching.
Jab dard nahi hai sine me,
to khak maja hai jine me.
Wo chali gayi
par kaha gai?????
naynon ke raste
dil me sama gayi.
hi prashant i m vibhu how r u aapki kavita majboori yathartha k bahut kareeb hai mujhe aapki kavita bahut pasand aayee, thanks
hiiiiiiii prashantji apki kavtano me jo dard ka khubsurti se bayan kiya hai bahot khub
u r just magician,sabdo ko itni acche se piro ke mala banana to koi aapse shikhe,fantastic poem , very heart touching..................
Don't understand, but seem heart touching. It' s lovely cos I can understand the pic.
Sahi hai, very heart touching...